Ayodhya Travel Guide 2025 – Shri Ram Janmabhoomi Darshan, Aarti Timing & Stay Details
Plan your spiritual trip to Ayodhya travel guide in 2025 with this detailed travel guide. Get information on Ram Janmabhoomi Mandir darshan, aarti timings, accommodation, local food, naturopathy center, and more. Perfect for solo, family, or pilgrimage tours.
EXPLORE INDIA


Ayodhya Yatra : Ek Bhakti Bhari Yatra ka Safar.
"Jahan Bhagwan Ram ka janm hua, wahi se dharm, maryada aur sanskriti ki roshni phaili. Ayodhya sirf ek jagah nahi, ek bhavna hai."
Why are You Choose Ayodhya Dham Trip
Agar aap apne mann aur aatma ko shuddh karne wale ek bhakti bhare, shaanti se bhare aur itihaas mein doobe safar par jaana chahte hain, toh Ayodhya aapke liye perfect destination hai. Yahaan ki dharti se bhagwan Ram ki mahima judi hui hai, aur har kone mein bhakti ki gungunahat sunayi deti hai.
Attraction Of Ayodhya Dham You Must Visit
1. Shri Ram Janmabhoomi Mandir
Yahi woh pavitra sthal hai jahan Bhagwan Shri Ram ka janm hua tha.
Naya bhavya mandir nirman ke baad yah jagah aur bhi divya ban gayi hai.
Yahan bhakton ki bheed lagti hai, lekin anubhav anant shanti aur bhakti se bhara hota hai.
Aarti ka samay: Subah 6:00 AM aur Shaam 7:00 PM (Enquiry - 7007890139)
Darshan ke liye best time: Subah jaldi ya dopahar baad.
2. Hanuman Garhi
Ram bhakt Hanuman ji ka prachin mandir.
Yahan 76 seedhiyan chadh kar jana padta hai.
Bhakton ka vishwas hai ki pehle Hanuman ji ke darshan karne se Ram darshan safal hote hain.
General Enquiry - 9936955274
3. Kanak Bhawan
Bhagwan Ram aur Mata Sita ko Rani Kaikeyi ne vivaah ke baad diya tha.
Mandir ke andar Ram-Sita ke sundar roop mein moorti darshan milta hai.
4. Saryu Ghat (Ram ki Paidi)
Yahan Saryu nadi ke kinare snan karna pavitra mana jata hai.
Sham ke samay maha aarti hoti hai - jyot se poora ghat chamak uthta hai.
Aarti ka samay: Sham 6:30 PM - 7:00 PM
5. Treta ke Thakur, Nageshwar Nath Mandir, Dashrath Mahal
Ye sab mandir aur itihasik sthal aapko Ramayan ke yug mein le jaate hain.
खाने की व्यवस्था
Ayodhya mein bahut se bhojanalay aur langar pratha bhi hai jahan prasadam prapt hota hai.
Ram Janmabhoomi ke paas Bhandara bhojanalay aur "Shri Ram Rasoi" mein bhakt prasadam ka anand le sakte hain.
Sadhu-Santo ke akhado mein bhi bhojan milta hai - yeh nishulk aur satvik hota hai.
रुकने की व्यवस्था
Ayodhya mein har budget ke anusaar hotel aur dharamshala uplabdh hai:
जाने-माने और रहने के लिए चुनावी विकल्प:
Shri Ram Janmbhoomi Tirth Kshetra Dharamshala – Budget Friendly aur close proximity to Mandir
Hotel Ramprastha, Ramayana Hotel – Mid-range options with amenities
Lords Inn Ayodhya – Ek premium hotel option with restaurant, banquet hall, rooftop view of Ram Mandir.
Lords Inn Banquet Hall
Weddings, spiritual seminars ya group bookings ke liye best option hai.
Clean aur modern amenities ke saath Ramayana-inspired decor bhi milta hai.
आयोध्या आरोग्य केंद्र (Naturopathy Center)
Yeh ek holistic health center hai jahan aap Yoga, Ayurvedic treatments, Panchkarma, Steam Bath, Detox, Nadi Parikshan jaise natural upchar ka laabh utha sakte hain.
Yahaan ke doctors aur therapists trained hain aur treatments affordable rate par milte hain.
Ideal for: stress relief, lifestyle diseases, aur spiritual healing.
Ayodhya Goshala (Cow Sanctuary)
Ayodhya mein kai gau shalaayen hain, jinmein se ek Ram Mandir trust dwara chalayi ja rahi Shri Ram Gau Seva Goshala hai.
Yahan desi gaiyon ki seva aur unka rakshan kiya jata hai.
Bhakt yahaan seva bhi kar sakte hain – jaise chara dena, safai mein madad, etc.
कैसे करें ट्रिप योजना ?
Rail se: Ayodhya Junction (AY) ya Ayodhya Cantt (AYC) par direct trains uplabdh hain.
Flight se: Sabse najdeek airport hai Maryada Purushottam Shri Ram International Airport (AYJ) – ab active hai.
Taxi/Bus: Lucknow, Varanasi aur Prayagraj se AC buses aur taxis easily mil jaati hain.
कुछ Important Travel Tips
Mandir mein mobile ya camera allowed nahi hai – lockers ka upyog karein.
Local guide lena ho toh certified guide hi lein.
Apne footwear ghat ya mandir ke bahar nirdharit jagah par hi chhodein.
Garmiyon mein ja rahe hain toh sunscreen aur cap zaroor lein.
Shanti aur maryada banaye rakhein – Ayodhya ek pavitra sthal hai.
What To Learn About Ayodhya Darshan
Ek atoot shradha, ek pavitra anubhav, ek aatma ko chu lene wali shaanti. Ayodhya jaane ka matlab sirf Bhagwan Ram ke janm sthal ka darshan nahi, balki apne jeevan ke maryada ko samajhna hai.
Aap bhi ek baar Ayodhya jayein – aur khud mehsoos karein us bhakti aur shanti ko jo sirf wahan ki mitti mein hai.
🕉️ Ayodhya Dham (Private/Temple–run office)
General enquiries & management office: +91‑70078‑90139
Temple helpline / Hanuman Garhi & Ram Janam Bhumi (8 am–8 pm): 99369 55274
🏛️ Regional Tourist Office (Government of UP)
Phone: 05278‑2505033 Address: Saanskratik Sankul, Ayodhya
📞 Shri Ram Janmbhoomi Teerth Kshetra Trust (Temple Authority)
Helpdesk: 05278‑292000
Alternate support: +91‑80095 22111
Toll‑free: 1860‑180‑1992
General Secretary (Shri Champat Rai): 72755 75030
Jai Shri Ram